2nd Day Eid Pictures Of Hira Mani. Hira Mani looking beautiful in this pictures. Hira mani share this pictures on instagram with this message.
🌸eid mubarak
@zubiazainab
Makeup by @rajankhokarofficial @nabila_salon
In Urdu
Yeh sab pictures hira mani kay eid kay 2nd day ki pictures hai. Hira mani na eid kay dusree din white colour ki saree pehnii thi. Hira mani es white saree mein kafii achi lag rahi hain. Hira mani na yeh tamam pictures apne social media account instagram mein apnee fans kay saath share ki thi. Ab hum hira mani kay baree mein kuch janlete hain. Hira Mani jinhee Hira Salman bhi kaha jata hai aik pakistani actress, host aur VJ bhi reh chukki hain. Hira Mani na ARY Digital kay drama Do Bol mein Geeti kay kirdar ko ada kya hai. Hira Mani na Hum Tv kay drama Yaqeen Ka Safar mein bhi kaam kya hai. Hira Mani na apne career ka aghaz 2012 mein kya. 2012 mein Hira Mani na ARY Digital ka drama Meri Teri Kahani kya. Es drama mein Hira Mani apne Husband Mani kay saath ai thi. Es kay baad Hira Mani na pakistan television industry kay liye boht sa drama kiye. Hira Mani na 2008 mein Mani sa shadi ki. Hira mani kay do bete hain. Ap pictures mein dekh sakhte hai kay mani apnee dono betoo kay saath kharee hain. Hira mani ka drama do bol kafffi mashhoor hua. Es drama mein hira mani ki acting ko kaffi pasand kiya gaya tha. Ab hum do bol drama kay baree mein kuch janlete hain. Do Bol pakistani romantic drama hai jo 5 March 2019 ko ARY Digital sa broadcast hua tha. Es drama kay director Sayed Wajahat Hussain hain aur Do Bol kay writer Sarwat Nazir hain. Do Bol ko produced kya hai Humayun Saeed aur Shahzad Nasib hain. Do Bol ki cast mein Hira Mani , Affan Waheed, Haroon Shahid, Mehmood Aslam, Zainab Qayyum, Rubina Ashraf, Shehzad Mukhtar, Samina Ahmad aur boht sa log shamil hain. Pehle Do Bol Tuesday ki raat ata tha jo double episode pr mubni hota tha. Phir es kay logo na ese behaad pasand kya. Tu logo ki dilshaspii ko dekhte hue drama Do Bol ko wednesday ki raat ko bhi broadcast hone laga. Wednesday ko bhi Do Bol ki double episode ati thi. Yani Puree haftee mein Do Bol ki 4 episodes onAir hoti thi. Jese hi Do Bol ki khahani agee barhti gai logo ki dilshaspii mazeed barhti gai aur ahista ahista drama Do Bol top rating pr anee laga. Aur es trha drama Do Bol pakistani television industry mein famous aur popular hogaya. Aur phir es kay baad Do Bol drama ko Monday, Tuesday, Wednesday aur Sunday ko krdia gaya. Monday, Tuesday, Wednesday aur Sunday ko Do Bol ki last Double episodes krdi gai. Es mein koi shaak nhi kay drama Do Bol ki kahani boht achi thi aur pakistani awam na Hira Mani aur Affan Waheed ki jori ko behaad pasand kya.
ConversionConversion EmoticonEmoticon